Desh duniya ki Khabrein: Telangana Accident, Jubilee Hills Intikhab, Gujarat ATS Action aur Trump Ka $2000 Elan
News Round-up Ek Nazar ma
Telangana aur desh bhar se aaj ki badi khabrein — Sangareddy mein road accident, Jubilee Hills aur Delhi mein intikhabati garma-garmi, Gujarat ATS ka bada terror operation, Hyderabad mein nashe mein gaadi chalanewalon par karwai, aur Telangana hukoomat ka wellness centers par naya faisla. Saath hi sardi badhne, toofan aur Trump ke $2000 wale elan ne bhi sabka dhyaan khinch liya hai.Simple hinglish mein.
Telangana aur Hyderabad ki Khabrein
Jubilee Hills Zimni Intikhab Ma 14 Din Ka Siyasi Muarika Katm
Siyasi Muhim Ka Ikhtetaam
Hyderabad ke Jubilee Hills Assembly Halqe mein chal rahi garam intikhabi muhim ab apne anjaam tak pahunch gayi. Do hafton tak chalne wali is muhim ne poore sheher ko siyasi rang mein rang diya.Bari Jamaaton Ki Koshishen
Congress, BRS aur BJP teeno badi siyasi jamaaton ne apni puri taqat laga di. Har party ne jalse, rally aur road show ke zariye awaam tak apna paighaam pahunchaya.Mujooda Soorat-e-Haal
Intikhabi Zaabta ke mutabiq itwaar ki shaam 6 baje ke baad sab muhim par pabandi laga di gayi. Ab 11 November ko polling hogi aur 14 November ko vote ginne ka amal hoga.Ummeedwar Aur Voters
Is baar ke zimni intikhab mein 58 ummeedwar maidan mein hain. Kul 41,365 voters apne vote ka haq ada karenge. Intizamia ne 407 polling centers tayar kiye hain. Har center par takreeban 986 voters ke liye sahooliyat di gayi hai taaki polling aaram se ho sake.Security Ke Intezaamaat
Security ke lihaaz se 226 polling centers ko hassaas qarar diya gaya hai. 149 ilaakon mein drone nigrani ke intezaamaat bhi kiye gaye hain. Police ne neem fauji daston ke saath sakht hifazati bandobast kar liya hai.Intizamia Ki Tayyari
Majmu'i taur par 2060 afsar aur ahlkaar polling duty par tainaat hain. GHMC daftar mein Markazi Control Room bhi qayam kiya gaya hai jo poore amal ki nigrani karega. Intizamia ne elaan kiya hai ke polling ke dauran sharaab ki dukaanen band rahengi.Returning Officer Ka Bayan
Returning Officer RV Karnan ne kaha ke agar kisi ne muhim ke auqaat ke baad bhi tamsheel jaari rakhi toh uske khilaf sakht karwai hogi. Unhone social media par bhi tamsheel par paabandi ki yaad dehani karai.Peechay Ka Pas-e-Manzar
Yeh zimni intikhab BRS ke Rukn-e-Assembly Maganti Gopinath ke achanak inteqal ke baad ho raha hai. Siyasi mubahsireen ke mutabiq Jubilee Hills ka yeh intikhab sirf riyaasat ki siyasat par asar nahi dalega balki aane wale Assembly Intikhabat ke liye awaam ke rujhaan ka bhi izhar karega.
City Ma Aawara Dog Ki Muntaqili, GHMC Ne Shuru Ki Muhim
Supreme Court Ki Hidaayat Par Amal
Greater Hyderabad Municipal Corporation ne Supreme Court ke faisle ke mutabiq sheher ke awaami muqamaat se aawara kutton ko hatane ki karwai shuru kar di hai.GHMC Ki Karwai
Hafte ke din GHMC ke teams ne mukhtalif sarkari hospitals se 277 aawara kutton ko pakad kar Animal Care Center mein muntaqil kiya. GHMC ke Veterinary Wing ke ohdedar in kutton ke liye in marakiz mein khaas intezaamaat kar rahe hain.Jagah Ki Kami
Centers mein jagah kam hone ki wajah se in kutton ko rakhne mein pareshani ho rahi hai. Authorities is mushkil ko door karne ke liye naye intezaamaat par ghaur kar rahe hain.Supreme Court Ka Faisla
Supreme Court ne 7 November ko tamaam riyasaton ko hidaayat di thi ke awaami muqamaat jaise Railway Station, Bus Station, Hospital aur School se aawara kutton ko hata kar Shelters mein rakha jaaye.Commissioner Ka Bayan
GHMC Commissioner RV Kannan ne Veterinary officials ke saath ek virtual meeting ki aur Supreme Court ke hukm par amal-aawari ka jaiza liya.
Purani Policy Aur Nayi Tabeer
Pehle GHMC ke teams aawara kutton ko pakad kar unki nasbandi karti thi aur Anti-Rabies Teeka lagane ke baad dobara chhod deti thi. Ab Supreme Court ne khaas taur par hidaayat di hai ke in kutton ko dobara unhi ilaakon mein aane na diya jaaye. Is liye GHMC ab unke liye khaas jagah aur shelter facilities ka intezaam kar rahi hai.
Sangareddy Ma Sadak Hadsa, Ek Shakhs Halak Aur 6 Zakhmi
Khabar Ki Tafseel
Telangana mein roz barh rahe sadak haadsaat ne logon ko pareshan kar diya hai. Aaj ek aur hadsa Sangareddy mein hua jahan ek shakhs ki jaan chali gayi aur cheh log shadeed zakhmi ho gaye.Hadse Ki Waqiyaat
Yeh haadsa itwaar ki subah zila Sangareddy ke Kollam Peta ke paas Qaumi Shaara Number 65 par hua. Ek SUV gaadi tez raftaar mein aakar RTC Bus se takra gayi. Is takraar ke baad gaadi ka bura haal ho gaya.Marne Wale Aur Zakhmi Afraad
Hadse mein halak hone wale shakhs ki pehchaan Maid Sala Balia ke naam se hui hai. Zakhmiyon mein Praveen, Fareed, Sitaram, Kalpana aur do aur log shamil hain.Hospital Mein Ilaaj Jaari
Sabhi zakhmiyon ko foran Sangareddy ke Sarkari Hospital le jaya gaya jahan unka ilaaj chal raha hai. Kuch afraad ki halat abhi bhi tashweeshnak batayi ja rahi hai.Police Ki Jaanch
Police ne hadse ka mamla darj karke tahqeeqaat shuru kar di hain taake maloom ho sake ke hadsa kis wajah se hua.
Asifabad Ma Sher Ki Maujoodgi Se Logon Ma Darr Aur Sansani
Waqiya Ki Tafseel
Zila Kumaram Bheem Asifabad mein ek sher ki maujoodgi ne ilaqe ke logon mein khauf aur sansani phaila di. Yeh waqiya Sirpur T mandal ke ek pahaadi ilaqe mein samne aaya jahan muqami afraad ne sher ko dekha.Mohakma-e-Janglaat Ko Ittela
Muqami logon ne foran is baat ki khabar Mohakma-e-Janglaat ke ohdedaron ko di. Department ne ilaqe ke logon ko hidaayat di ke woh tanha gharon se bahar na niklen aur chaukasi ikhtiyaar karein.Awaam Ka Mutalba
Gaon walon ne janglaat ke officials se darkhwast ki hai ke sher ko insaani aabaadi se door jangal mein muntaqil kiya jaaye taaki kisi hadse ka khatra na rahe.
Darr Ka Mahaul
Sher ke dekhe jaane ki khabar se dehaati ilaqon mein khauf ka mahaul paida ho gaya hai aur log apne bachchon aur maal-dawat ko lekar pareshaan hain.
Gujarat Ma Dahshatgardi Sazish Naakaam, Hyderabadi Shakhs
Operation Ka Aaghaz
Gujarat mein ek bade insidaad-e-dahshatgardi operation ke dauran Anti-Terrorism Squad ne teen afraad ko giriftar kiya hai. In par ilzaam hai ke yeh log mulk bhar mein dahshatgard hamle karne ki tayyari kar rahe the.Giriftar Shuda Afraad
Giriftar hone walon mein Dr Ahmed Mohiuddin, Syed Mohammed Sohail aur Azad Suleman Saifi shamil hain. Inhe Gujarat ke Adalaj Toll Plaza ke paas asleha faraham karte hue pakda gaya.Saazish Ka Naakaam Hona
Hukkaam ke mutabiq in giriftariyon se Hindustan ke kai shehron mein hone wale bade hamlon ki ek badi saazish ko naakaam bana diya gaya. Gujarat ATS ke DIG Sunil Joshi ne kaha ke yeh teenon afraad pichle ek saal se nigrani mein the.Hyderabad Ka Talluq
ATS ko milne wali intel ke mutabiq 35 saala Dr Ahmed Mohiuddin, jo Hyderabad se ta’alluq rakhta hai, dahshatgardi sargarmiyon mein shamil tha aur Ahmedabad jaane ki mansoobabandi kar raha tha.Karwai Ka Tareeqa
Is ittela ke baad ATS ne uski harkaton par ghaur se nazar rakhi. Jab woh Adalaj Toll Plaza par pohoncha to team ne usay giriftar kar liya. Isi operation ke dauran do aur afraad bhi pakde gaye.
Tahqeeqaat Jaari
Filhal ATS in sab se poochtaach kar rahi hai taaki maloom ho sake ke inke ta’alluq kis group se hain aur inki aage ki yojna kya thi.
Mohd Azharuddin Aaj Secretariat Ma Nayi Zimedari Sambhale
Naye Wazir Ka Aaghaz
Telangana ke Wazir-e-Aqaliyyati Bahbood Mohammed Azharuddin aaj Secretariat mein apna ohda sambhalenge. Unhe riyaasti cabinet mein Wazir ke taur par 31 October ko Governor Jashoda Varma ne Raj Bhavan mein halaf dilaya tha.Qalamdaan Ki Tafseel
Azharuddin ko Aqaliyyati Bahbood aur Public Enterprises ke qalamdaan diye gaye hain. In dono departments ke liye unka chamber Secretariat ki pehli manzil par Room Number 21 mein tayar kiya gaya hai.Taqreeb Aur Tayyari
Aaj ke program mein riyaasti wazra aur ohdedaron ki maujoodgi mein Azharuddin apni nayi zimmedari ka jaiza lenge. Unke liye Secretariat mein khaas intezaamaat kiye gaye hain.
Scheme Ka Jaiza
Kaha ja raha hai ke Azharuddin aaj Aqaliyyati Bahbood ki scheme aur departments ke kaam ka jaiza bhi lenge taaki aane wale dinon ke liye behtar policy plan tayar ki ja sake.
Fee Reimbursement Ki Adaygi Mein Pehla Marhala Mukammal
Hukoomat Ka Faisla
Deputy Chief Minister Bhatti Vikramarka ne kaha hai ke Private Colleges ke baqaya Fee Reimbursement ke liye ₹600 crore fauri taur par jaari kar diye gaye hain. Unhone yeh bhi bataya ke agle marhale mein mazeed ₹600 crore jald hi jaari kiye jayenge.Colleges Ke Mutalibaat
Private Colleges Federation ne hukoomat se ₹1500 crore ke baqaya jaat ki fauri adaigi ka mutalba kiya tha. Is par Bhatti Vikramarka ne yaqeen dilaya ke hukoomat do qisto mein ₹1200 crore jaari karegi jismein pehle ₹600 crore jaari ho chuke hain aur baaki ₹300 crore ek hafte ke andar jaari kar diye jayenge.Hadtaal Ka Khatma
Wazir-e-Imaraat aur Shaoq Komatireddy Venkat Reddy aur Deputy Chief Minister Bhatti Vikramarka ke darmiyan hue muzaakaraat ke baad Private Colleges Federation ne apni hadtaal khatam kar di. Chief Minister Revanth Reddy ne Bhatti Vikramarka ko in muzaakaraat ki zimmedari di thi.Naye Islaahati Qadam
Deputy Chief Minister ne kaha ke aayinda ta’alimi saal se Fee Reimbursement System ka jaiza lekar ek nayi Committee qayam ki jayegi. Is Committee mein sarkari afsar aur colleges ke numainde shamil honge. Committee apni report ke zariye naye qawaid aur nizaam tay karegi.
Federation Ka Bayan
Private Colleges Federation ne Secretary Higher Education Sri Devsena ke khilaf diye gaye remarks se inkaar kar diya hai. Yaad rahe ke IAS ohdedaron ne Federation ke bayanaat par naraazgi ka izhar kiya tha.
Telangana Hukoomat Ka Bada Faisla,Wellness Centers Intezaam
Naye Nizaam Ka Aaghaz
Telangana Hukoomat ne sarkari mulazimeen, pensioners aur sahafiyon ke liye cashless ilaaj faraham karne waale Wellness Centers ke nizaam mein badi tabdeeli ki hai. Ab in marakiz ki nigrani Aarogyasri Trust ke bajaye Director of Medical Education aur NIMS Hospital ke paas hogi.Centers Ka Taqseem
Riyasat ke 12 Wellness Centers mein se 10 ab DME ke tehat kaam karenge jabki 2 NIMS Hospital ke zere intezaam rahenge. Hukoomat ka kehna hai ke is tabdeeli se Specialist Doctors ki kami door hogi aur ilaaj ki sahoolaten aur behtar ho jayengi.Doctors Ki Duty System
Medical Colleges ke doctors ko rotation ke zariye in centers mein tainaat kiya jayega taaki Cardiology, Neurology, Nephrology aur Orthopaedics jaisi khidmaat aasani se mil sakein.Amle Aur Kharch Ka Intizam
Ghair-tibbi staff ki bharti Aarogyasri Trust karega, jabki tamam kharch Employees aur Journalists Health Scheme ke budget se poora kiya jayega.Dawabon Par Kharch
Hukoomat ke mutabiq filhaal in centers mein dawabon par saalana ₹18 crore kharch ho rahe hain, aur mareezon ki badhti taadad dekhte hue yeh kharch mazeed barh sakta hai.
Maahireen Ka Tajziya
Maahireen ka kehna hai ke yeh faisla sehat aur khidmat ke nizaam ko behtar banane ki simt ek aham qadam hai, jisse sarkari mulazimeen aur unke parivaron ko behtareen ilaaj mil sakega.
Desh ki Khabrein
Andhra Mein 1970 Se Ab Tak 61 Toofanon Ne Machayi Tabahi
Khaleej-e-Bengal Ke Toofan Aur Andhra Pradesh Par Asraat
Khaleej-e-Bengal mein paida hone waale toofan Andhra Pradesh ke liye hamesha khatra sabit hue hain. 1970 se ab tak 61 toofan riyasat ko mutasir kar chuke hain. Inmein se kai toofan Tamil Nadu, Odisha aur Puducherry ke sahil se takraye, lekin unke asraat Andhra Pradesh par bhi shadeed padte rahe.October Ka Mahina Sabse Zyada Khatarnaak
Idaad-o-shumaar ke mutabiq 16 toofan sirf October ke mahine mein hi Andhra Pradesh aur Tamil Nadu ke sahil se takraye. Khaleej-e-Bengal ka maghribi wasta hissa — Chennai se Kalingapatnam tak — toofanon ka sabse zyada markazi raasta raha hai.Sabse Taqatwar Toofan
Andhra Pradesh ke itihas mein kuch toofan apni shiddat ke liye mashhoor rahe:-
Diviseema Toofan (230 km/hr)
-
Konasima Toofan (270 km/hr)
-
Hudhud Toofan (220 km/hr)
In toofanon ne na-qaabil-e-talaafi jaan aur maal ka nuqsaan pahunchaya. Kuch Super Cyclones bhi bane jo zyadatar Odisha ke sahil se takraye, lekin Andhra Pradesh ko bhi mutasir kar gaye.
Ahem Toofan Aur Unka Asar
-
Nilam Toofan (28 October 2010) Zameen se takrane ke baad kamzor pad gaya, lekin shadeed baarish ka sabab bana.
-
Mouta Toofan (28 October 2025) Bilkul usi tareekh ko sahil se takraya, jisse Andhra Pradesh ke saath Telangana mein bhi tez baarish hui.
Toofanon Ki Saal Ba Saal Tadaad
-
2013: Sabse zyada — 5 toofan bane.
-
1987, 1996, 2016, aur 2018: Har saal 3 toofan bane.
Maahireen Ka Bayan
Mausami maahireen ke mutabiq, Khaleej-e-Bengal ka hawaai dabao aur samundari tapmaan har saal tabdeel ho raha hai, jis se toofanon ki shiddat aur tadaad dono mein izafa ho raha hai.Andhra Pradesh ke liye yeh 50 saal ka safar ek tabahi bhara mausami daur sabit hua hai — jahan har kuch saalon baad samundari toofan insani zindagi aur ma'ashi nizaam ko jhatka dete rahe hain.
Bihar Assembly Intikhabat ke Doosre Marhale ki Muhim Khatm
Intikhabi Muhim Ka Aakhri Din
Bihar Assembly ke doosre aur aakhri marhale ke liye intikhabi muhim itwaar ki shaam ko khatam ho gayi. Is ke saath hi riyaasat mein taqreeban ek maheene se jaari siyasi garma-garmi apne anjaam ko pahunch gayi.Voting aur Ginti Ki Tareekhen
Doosre marhale ke liye voting 11 November ko hogi, jabki donon marhalon ki ginti 14 November ko ki jayegi.-
Pehle marhale mein 121 halqon mein 6 November ko voting hui thi.
-
Doosre marhale mein 122 halqon mein vote daale jayenge.
Pehle Marhale Mein Record Voting
Pehle marhale mein 65% voter turnout record kiya gaya, jo pichle intikhabat ke muqable mein zyada hai.Siyasi Rehnumaon Ki Aakhri Koshishen
Intikhabi muhim ke aakhri din Wazir-e-Dakhila Amit Shah, Wazir-e-Difa Rajnath Singh aur Congress ke Senior Rahnuma Rahul Gandhi ne apni apni campaign rallies ke zariye voters ko mutasir karne ki koshish ki.
Maahol Garam Aur Faisla Qareeb
Bihar ke siyasi maahol mein is waqt pur-josh fiza hai. Har party apne voter base ko mazboot banane ki koshish mein hai, jabki awaam ka faisla 11 November ke vote se saamne aayega.
Lucknow Ma Mazhabi Muqamaat Se Loudspeaker Hataye Gaye
Police Ki Muhim Ka Aaghaz
Itwaar ko Uttar Pradesh ke darul hukoomat Lucknow mein mazhabi muqamaat se loudspeaker hatane ki muhim shuru ki gayi. Is dauraan police ne kai mandiron aur masajid se loudspeaker hata diye.Razamandi Ke Saath Amal
Lucknow ke Joint Police Commissioner Bablu Kumar ne bataya ki is muhim ke ek hisson ke taur par Wazirganj Police ki team Golaganj ki Molsari Masjid pahunchi. Wahan Imam se baat karke unki razamandi se loudspeaker hata diye gaye. Police ne loudspeaker hatane mein madad ki kyunki woh oonchai par nasab the. Isi tarah Masjid Malkah Zamani se bhi loudspeaker hata diya gaya.Mandir Se Bhi Hataya Gaya Loudspeaker
Masajid ke saath-saath police ne Batuk Bhairav Mandir se bhi ek loudspeaker hata diya. Mukhtalif thanon ki police ne donon biraadariyon ke taawun se ye karwai mukammal ki.Aman-o-Aahanghi Ka Paighaam
Joint Police Commissioner Bablu Kumar ne wazeh kiya ki yeh karwai kisi mazhab ya biraadari ke khilaf nahin hai, balki adaalati ahkaamaat par amal ko yaqeeni banane ka hissa hai.
Police Ko Di Gayi Hidaayaten
Unhone kaha ki police teams ko hidaayat di gayi hai ke woh mazhabi muqamaat par muqaalme aur aman ko barqarar rakhein aur qanoon ki paasdaari ko yaqeeni banaayein taaki sheher mein sukoon aur ittehad ka mahaul qayam rahe.
AAP Ne MCD Zimni Intikhab Ummeedwaron Ki Fehrist Jaari
Intikhabi Muhim Ka Aaghaz
Delhi mein Municipal Corporation (MCD) Zimni Intikhab ke liye intikhabi muhim ka aaghaz ho gaya hai. Voting 30 November ko hogi, jabki votton ki ginti 30 December ko anjaam di jayegi.Election Commission Ka Elan
Delhi Riyaasti Election Commission ne mangal ke din zimni intikhabat ka official schedule jaari kiya tha. Iske baad se siyasi garmiyo mein izafa dekhne ko mil raha hai.AAP Ki Fehrist Jaari
Itwaar ko Aam Aadmi Party (AAP) ne 12 wards ke liye apne ummeedwaron ki fehrist jaari kar di. Party ne da’awa kiya hai ke woh shehri masail ke behtareen hal aur imandaar hukoomat ke zariye dobara logon ka bharosa jeetegi.
Model Code of Conduct Naafiz
Election Commission ne in tamaam 12 wards mein Model Code of Conduct ko fauri taur par naafiz kar diya hai, jisse intikhabi amal ko shaaf aur mansafana banaya ja sake.
Videsh ki Khabrein
Tariff Se Income: Amrikiyon Ko $2000 dene ka Trump Ka Elan
Trump Ka Naya Iqdam
Amriki Sadar Donald Trump ne itwaar ko elaan kiya ke America ko tariffs se milne wali zyada aamadani mein se har Amriki shehri ko kam se kam $2000 bataur dividend diya jayega. Yeh elan unhone apne social media platform Truth Social par post ke zariye kiya.Sirf Kam Aamadani Wale Log Mustafeed Honge
Trump ne waazeh kiya ke yeh raqam sirf un logon ko milegi jinki aamadani zyada nahi hai. Unhone likha ke hum kharabon dollar kama rahe hain aur jald hi apne $37 kharab dollar ke qarze ki adaigi shuru karenge. Har shehri ko — siwai unke jo zyada aamadani rakhte hain — kam se kam $2000 milenge.Qanooni Jaiza Jaari Hai
Media reports ke mutabiq, filhaal Amriki Supreme Court Trump ke daur ke tijarati tariffs ke qanooni pehlu ka jaiza le rahi hai. Pehle kai ma-tehat adaalaton ne in mahsoolaat ko ghair qanooni qarar diya tha.Pehle Bhi Di Thi Tajweez
Yaad rahe ke October mein Trump ne ek interview ke dauraan awaam ke liye $1 se $2000 tak ki raqam taqseem karne ki tajweez di thi. Unka kehna tha ke unke lagaye hue tariffs se America ko saalana ek arab dollar se zyada aamadani ho sakti hai.Antim shabd
Yeh thi aaj ki taaza aur aham khabrein — siyasat se le kar sehat, mausam aur duniya bhar ke badalti halaat tak. Har khabar par nazar rakhiye sirf Bharat Batao News ke saath, jahan milti hai har sachchi aur zaroori khabar, asaan zubaan mein.
Related Post:
Desh Duniya Ki Khabrein: Telangana Mein Sardi, Kisaan Ehtejaaj, Parliament Ijaas Aur Amriki Shutdown
🖊️ About the Author
Bharat Batao Team
Hamara mission hai aap tak sahi aur verified news pohchana. Ground level se lekar global headlines tak, hum Bharat Batao ke through bina sensationalism ke clear language me har baat rakhte hai.
Disclaimer: Ye post sirf information ke liye hai. Sari khabrein public aur verified sources aur Koi bhi confusion ya complaint ho toh contact kar sakte hai. Hum fake ya misleading content publish nahi karte.📌Sources: All news compiled from public video reference: Based on viral verified sources:
- Sangareddy sadak hadsa
- Jubilee Hills zimni intikhab
- Gujarat ATS giriftari
- Hyderabad nasha mein driving
- GHMC aawara kutte muntaqili
- Wellness centers Telangana
- Hyderabad sardi ki lehar
- Andhra Pradesh toofanon ki tareekh
- Bihar assembly doosra marhala
- Lucknow loudspeaker hataana
- Aam Aadmi Party MCD candidates
- Trump tariffs $2000 elan
- Fee reimbursement adaygi
- Asifabad sher ki maujoodgi
- News Round-up Ek Nazar ma
- Hinglish news
- Hindi hinglish news

Comments
Post a Comment